Wo kehte hain wo dost hain
Magar unki nazar kuch aur kehti hai
Kuch unki ada kuch wo lafz
Kuch aur daastaa byaan karte hain
Kuch wo taaron si timtimaati aankhein
Kuch wo jhukti haya bhari aankhein
Un jhuki palko me qaid wo tamaam raaz
Un aankhon ki haya kuch aur kehti hai
Wo kehte hain wo dost hain
magar unki nazar kuch aur kehti hai
Labo ke jharokhe se jhaankti wo dheemi si muskaan
Har inkaar me ikraar ka paigaam
Aur unka rukh, jis par allah paak bhi Aafreen farma jaayein
Puri kaaynaat ki khoobsoorati khud me samaaye
Wo kehte hain wo dost hain
Aur hum naadaan,
Baghawat bhi karein to kya
Kuch door saath chale
Aur keh gaye hum humsafar nahi
Phir kyu har ghadi unka ehsaas hai
Wo kehte rahe hum dost hain tumhare
Par wo nazar, wo muskaan wo dil
Kuch aur hi daastaan byaan karti gayi
No comments:
Post a Comment